Wednesday, April 29, 2009

Sher O Shayari


Many times people are short of words... only and the easy way they can express themselves is through the poetry..
I am from Lucknow so i prefer urdu & hindi poetry.

Lets only write meaningful poetry here.........:)

Lets Share Good Sher ,Shayari & Gazals here:



Some of My Fav. 2 Liners :
Pehla Sher For my country INDIA-

Ye kis ko fikr hai ke Qabeelay ka kyaa huwa?
Sab iss pe lad rahe hain ke Sardaar kaun hai.

---
hame koii tum saa mil jaaye, ye naamumkin sahi
tumhe bhii ham sa mil jaaye, baDaa mushkil sa lagta hai
---
Jo Dil Mai Reh Ke Bhi Mera Na Ban Saka GHALIB
Aur Dil Wo Kaafir Jo Mujh Mein Rehker Bhi Tera Ho Gaya....!!
---
Duniya me aur bhi wajah hoti hai dil ke toot jane ki
log yuhi mohabbat ko badnam kiya karte hai !!
---
Aati hai yaad uski aksar, jisko kabhi meri yaad nahi aati
mujhe bhi koi yaad karta hoga,jiski mujhe yaad nahi aati
---
Wo Ek khat, Jo Us ne kabhi Likha hee Nahi
Me rozz Beth ker, us ka Jawab likhta hoon..
---
Dukh ye Hai tu Sach Sunne Ka Aadi Nahi Warna
Ye Umr Tujhe Khwab Dikhane Ki Nahi Hai
---
Mere Haton Ki Lakiron Main Nahi Tuu Shayed

Apni Taqdeer Bana Mera Muqadder Na Badal
---
kabhi toota nahi mere dil se teri yaad ka tilism Faraz
guftagu jis se bhi ho khayal tumhara hi aata hai
---
Main to khud apnay liye ajnabi sa ban gaya hun.
Tu bata mujh se juda ho ker tujhe keisa laga
---
kal tera jikr aa gaya ghar mein
aur ghar der tak mahakata raha
---
Bahaanaa kyu tarasha rooth jane ka FARAZ
Bas itnaa kah dete dil me jagah nahi rahi

---
Log meri deewangi ko fakeeri samjhti rahe FARAZ
Mein tu usey dekhnee ki khatir bheek mangta rahaa
---

Iska gam nahi, kyon 'Usne' barbaad kiya,
gam iska hai ki, bahot der ke baad kiya..........!!!

---
Hamara ashk bahana to roz ka mamool hai magar
aaj uske shaher ki hawaon mein nami kyun hai
---
kabhi aate the khwaab neend me bekas
aaj kal neend ke khwaab aate hai
---
Wo aik shab jali tou usay SHAMMA keh diya FARAZ,
Hum barson se jal rahe hein koi tou khitaab do!!!!!!
---
Tumhaari dunia me hamare jaise hazaaro hai FARAZ
ek ham hii pagal the, jo tumhe paa ke itaraane lage
---

terA na ho sakA to mar jaaunga faraz
kitana khUbasUrat vo jhUth bola karata tha..
---
Khataa to jab ho ke haal-e-dil kisi se kaheiin
Kisi ko chahatey rahnaa, koii khataa to nahiin
---

anna ne haath uthney nahin diye warna,
meri dua se vo pathar bhi pighal sakta tha
---
jisko jaana hi nahin, usko khuda kyo maane
aur jise jaan chuke vo khuda kaise ho

---
Muhabbat to wo pehli hi muhabbat thi Faraz..
Iss k baad tau her shakhs mai dhoonda uss ko
---
wahan se aik pani k boond na nikal sake faraz,
tamam umar jin ankhon ko hum jheel likhte rahe.
---
Wo is ana me rehte hain ke hum unko unse mangen FARAZ
Hum is gurur me rehte hain ke hum apni hi chiizen manga nahi karte
---
so jaate haiN, footpath par akhabaar bichhaa_kar,
mazdoor kabhi neeNd ki goli nahiN khaate !
---
Masjid to do din me banadi imaan walo ne,
Mann apna purana paaapi hai barso se namaazi na ban saka

---
mujh se kehti hai tere saath rahun gi sada FARAZ
bahot piyar karti hai mujhse UDAASI meri
---
jisako bhii dekhaa rotaa huaa payaa faraz
mohabbat to mujhe kisii fakiir kii badduaa lagatii hai
---
koi to mol lagaaye meri hastii ka faraz
kisi ki aankh ke aansu khareedne hain mujhe
---
Sab chahte hain mujhe, par mera koi nahi,
main is shehar me urdu ki tarah hu.

---
Tum mujhe kabhi dil kabhi aankho se pukaro ghalib,
ye honton ka takalluf to zamaane ke liye hai.
---
Wo bewafa he sahi aao us ka zikar karain faraz
Abhi to umar parri hay us ko bhulanay k liye

---
apne dil me dard ko jagah de galib
ilm se shayrai nahi aati
---
Vo bevafa har giz na tha, yun hii badnam ho gayA faraaz,
hazaroin chahne vale the, kis kis se vaafa karata
---

Mohabbat k andaaz juda juda hai Faraaz,
Kisi ne toot ker chaha to koi chah ker toot gaya!!

---

-------------------------------------------

KOI UMEED BAR NAHI AATI
KOI SURAT NAZAR NAHI AATI
----
MAUT KA EK DIN MOIYAN HAI
NEEND KYO RAAT BHAR NAHI AATI
----
AAGE AATI THI HAAL-E-DIL PAR HA(N)SI
AB KISI BAAT PAR NAHI AATI
----
HAI KUCH AISI HI BAAT KE CHUP HOON
WARNA KYA BAAT KAR NAHI AATI
----
HUN WAHA JAHA SE HUM KO BHI
KUCH HAMARI KHABAR NAHI AATI
----
MARTE HAI AARZOO MEIN MARNE KI
MAUT AATI HAI PAR NAHI AATI
----
KABE KIS MUH SE JAAOGE GHALIB
SHARM TUM KO MAGAR NAHI AATI

---------------------------------------------------

jaan de denge ye hamare bas main hai,
hum nahi karte baat sitare tod lane ki..
----


Hamaari aur Uski Zindagi me faqat tarteeb ka faraq hai FARAZ
Uski zindagi mein hum sab ke bad aatay hain

---

Main Bad-dua to nahi daiti ussko magerDua yehi he ,
usey mujh sa na miley koi--Noshi Gelan
----

Humne Tumhare Baad na rakhi kisi se Aas,
Ek Tajurba bahut tha bade Kaam Aaya...
----
mulakate jaroori hai agar rishte bachane hai,
laga kar bhool jane se to paudhe bhi sukh jate hai
----
Mere KHUDA Mujhe Tabeer ki takat day day

Maine kisi Shakhs ko Khawab Dikha rakhe hain...
----
tez raftaar zindagi ka ye aalam hai ke,

subah ke Gam shaam ko puraane ho jaate hain
----
Zindagi mein bahut kam mili hain FARAZ,

Har wo cheez jise shiddat se chaha maine--Ahmad FARAZ
----

in hasrato se keh do kahin aur ja basein

itni jagah kahan hai dil-e-daagdaar mein--Bahadur Shah Zafar
----

Main aur us ko bhula du? Kaisi baatein karte ho faraz,

surat to phir surat hai, wo naam bhi pyara lagta hai.
----
ye bataata nahin koi mujhko

dil jo aa jaaye to kya karte hain ….Daag Dehlvi
----
Khairaat mein mili khushi mujhe acchi nahin lagti 'FARAZ'

main apne dukhon mein rehta hoon nawaabon ki tarha... --Ahmad FARAZ
----

Ab Dil Ki Tamana Hai Kaash Aisa He Ho

Ansoo Ki Jaga Ankh Sey Hassrat Nikal Jaye.
----
mere sajdo mein kami to nahin thi FARAZ,

mujh se badh ke kisne use maanga tha khuda se--Ahmad FARAZ

----
hosho-hawaas me behko to koi baat bane

yun nashe me ladakhna yaar purana hua.........--ritu saroha---

----
tu'ne dekha nahin naqsha meri tanhaayi ka

ek qayaamat hai jo har roz guzar jaati hai...
----
katee patang ka rukh mere ghar ki taraf tha

usko bhi loot liya lambe hath walo ne -- Ghalib.
----

7 comments:

  1. Mohabbat ke dipak jalaakar to dekho,
    Jara dil'kee duniya sajaakar to dekho,
    Tumhen ho na jaaye mohabbat to kahna,
    Zara ham'se naz'ren milaakar to dekho

    ReplyDelete
  2. Tum Jahan B Baith K Jate Ho,
    Jis Cheez Ko Haath Lagte HO,
    Mein Wahin Pe Baitha Rehta Hoon,
    Us Cheez Ko Chuta Rehta Hoon,
    Mein Aesi Muhabbat Karta Hoon,
    Tum Keisi Muhabbat Karte Ho......?

    ReplyDelete
  3. nahin nigaah mein manzil to justajuu hi sahi
    nahin visaal mayassar to aarazuu hi sahi

    na tan mein Khun faraaham na ashk aankhon men
    namaaz-e-shauq to vaajib hai be-vazuu hi sahi

    gar intazaar kathin hai to jab talak ai dil
    kisi ke vaada-e-fardaa ki guftaguu hi sahi !!

    ReplyDelete
  4. shaam-e-firaaq ab na puchh aaii aur aake Tal gaii
    dil thaa ke phir bahal gayaa, jaan thi ke phir sambhal gaii

    ReplyDelete
  5. bazm-e-Khayaal mein tere husn ki shamaa jal gai

    dard kaa chaand bujh gayaa, hijr kii raat Dhal gai


    jab tujhe yaad kar liya, subha mahak mahak uthi
    jab tera Gam jagaa liya, raat machal machal gai


    dil se to har muaamala karake chale the saaf ham
    kahane mein unke saamne baat badal badal gai


    aakhir-e-shab ke hamasafar 'Faiz' na jaane kyaa hue
    rah gai kis jagah sabaa, subha kidhar nikal gai

    ReplyDelete
  6. Itni achi shayari meen aaj tak nahi padhi....Shayad kuch shayar meri life se match karte hain isliye acha laga.....

    Very nice - I have no words to explina but itna kahunga....aise hi likhte raho. God Bless you always.

    ReplyDelete